chal chal kar tou bahot thak chuka huin
magar fir bhi mann rukne ko tayyar nai
dhakele ja raha hai aage badne ko,..
shareer tou jawaab degaya par ,,,rooh ne haar maani nai!!
in akeli ,viraani ,tanha raaho par kab tak chalu ?
kab tak apne aap se bachne ke raastein dhundoo ?
kab tak logo ki jimedaria apne kaandhe par lu?
aakhir kab tak apne aap se ladu?
kitni rukaawate hai jo aage badne se rokti hai
kitne pathar hai raaho mein jinse lagataar thokre lagti hai!!
par phir bhi ek umeed ki kiran hai jo
un sapno ko un aashaayo ko sanjoye or thaame rakhi hai
jee chahat hai ki ek nai raah ki talaash mein nikalu
jaha sab kuch ekdum naya sa ho
naye khayaalaat nayi aashaayein naya jahaan
naye asool nayi sambhaawnaaye
par ateet phir muje apni adrishya janjeero se kheech leta hai
usi puraane jehreele janjaal mein
lekin ye ziddi mann haar maan ne ko tayaar hi nai
har baar girta hai magar phir uth aage usi raah par bad chalta hai
is baar ye is drid nischaye se utha or aage bada hai ki
sab sambhaawnaao ko haqiqat mein tasleem karna hai
har aasha ko jeevit kar uthna hai
or is naye raastein ko manjil ka safar samja kar nai balki
zindagi ka safar samaj ke aage badna hai